Pandit Jawahar Nath Saqi

tumne dekha hi nahin hai wo nizam-e-maKHsus

Pandit Jawahar Nath Saqi

tum ne dekhā hī nahīñ hai vo nizām-e-maḳhsūs
kū-e-jānāñ meñ hamārā hai qayām-e-maḳhsūs
mujtam.a aaj haiñ yārān-e-sar-e-pul saare
ḳhalvat-e-ḳhās meñ hai majma-e-ām-e-maḳhsūs
jalsa-e-ām meñ diqqat nahīñ hotī un ko
jo samajhte haiñ ishāroñ meñ kalām-e-maḳhsūs
dil-e-ġham-dīda huā hamdam-e-sad-gūna-nashāt
aaj aayā hai jau dilbar kā payām-e-maḳhsūs
vo mirā sub.h-nafas muḳhlis-e-yak-rañg huā
ab na vo sub.h-e-muqarrar hai na shām-e-maḳhsūs
ḳhuub e.azāz giraftār-e-mohabbat kā huā
un ko hai madd-e-nazar qaid-e-davām-e-maḳhsūs
aam se ḳhaas kī tam.īz huā kartī hai
ho gayā nok-e-zabāñ shoḳh ko nām-e-maḳhsūs
naqs ye vaz.a kā ho jā.egā dāġh-e-ismat
kyuuñ vo shab-gard huā māh-e-tamām-e-maḳhsūs
rāzdāñ jo haiñ samajhte haiñ vo ye rāz-o-niyāz
guftugū ḳhaas se hotā hai kalām-e-maḳhsūs
hai tirā bulbul-e-kashmīr yagāna mai-kash
aam hotā hī nahīñ sharb-e-davām-e-maḳhsūs
Top Urdushayar.com