Pandit Jawahar Nath Saqi

tujhe KHalq kahti hai KHud-numa tujhe humse kyun ye hijab hai

Pandit Jawahar Nath Saqi

tujhe ḳhalq kahtī hai ḳhud-numā tujhe ham se kyuuñ ye hijāb hai
tirā jalva terā hai parda-dar tere ruḳh pe kyuuñ ye naqāb hai
tujhe husn māya-e-nāz hai dil-e-ḳhasta mahv-e-niyāz hai
kahūñ kyā ye qissa-e-rāz hai mirā ishq ḳhāna-ḳharāb hai
ye risāla ishq kā hai adaq tire ġhaur karne kā hai sabaq
kabhī dekh is ko varaq varaq mirā siina ġham kī kitāb hai
tirī jazb meñ hai rubūdgī tere sukr meñ hai ġhunūdgī
na ḳhabar shuhūd-o-vajūd kī na tarañg-e-mauj-e-sarāb hai
ye vahī hai 'sāqī'-e-shefta jo hai dil se terā farefta
ye hai terā banda gurīḳhta ki jo ḳhāksār-e-turāb hai
Top Urdushayar.com