Pandit Jawahar Nath Saqi

hasrat-o-ummid ka matam raha

Pandit Jawahar Nath Saqi

hasrat-o-ummīd kā mātam rahā
ye vo dil hai jo sadā pur-ġham rahā
ik na ik mujh par sadā aalam rahā
maiñ kabhī be-jāñ kabhī be-dam rahā
merī qismat kī kajī kā aks hai
ye jo barham gesu-e-pur-ḳham rahā
vo dil-e-ġham-ghīñ hai merā ġham-pasand
ġham ke jaane kā bhī jis ko ġham rahā
dil ko har-dam ik pareshānī rahī
zulf-e-jānāñ kī tarah barham rahā
vo namak-afshāniyāñ qātil ne kiiñ
zaḳhm-e-dil sharminda-e-marham rahā
baḌhte baḌhte ho gayā nāsūr dil
ḳhuun kā qatra jo dil meñ jam rahā
thā faqat ik ġham madār-e-zindagī
ġham rahā dil meñ to vo bhī kam rahā
girya-o-zārī yahī 'sāqī' rahī
dil kī hasrat kā sadā mātam rahā
Top Urdushayar.com