tālib-e-ishq hai kyā sālik-e-uryāñ na huā
qurb mahjūr huā vāsil-e-jānāñ na huā
haiñ junūñ josh vahī jazb kā nisyāñ na huā
qatra dariyā jo huā aa.ina hairāñ na huā
kyā siya-mast huā kaif meñ raqsāñ na huā
jām-e-sar-josh se bhī sālik-e-vajdāñ na huā
vasl-e-mau.ūd se āshob-e-tamannā hai adam
be-tamannā tirā āshufta-e-hijrāñ na huā
maiñ jo majzūb-e-azal thā na ga.ī mahviyyat
sub.h-e-mahshar se mirā chaak garebāñ na huā
dīd-e-be-chūn-o-chigūñ sair-e-latā.ef meñ jo thī
mahv-e-ā.īna-e-nairñgī-e-alvāñ na huā
vus.at-e-mashrab-e-rindāñ hai tilism-e-hairat
ye kisī tañg fazā dil kā bayābāñ na huā
sūrat-e-hāl ne mash.hūd kiyā kaif-e-batūñ
rāz-e-sar-basta mirā girya-e-pinhāñ na huā
jam.a kyuuñ farq ho nairañg-e-mazāhir ke sabab
terā manzūr-e-nazar āñkhoñ se pinhāñ na huā
aañkh se aañkh laḌī chīn-e-jabīñ mahv huī
shauq-e-dīdār mirā jalvā-pashemāñ na huā
jām-e-sarshār meñ kuchh kaif na aayā ham ko
'sāqī'-e-mast jo sar-halqa-e-mastāñ na huā