yahī tamanna-e-dil hai un kī jidhar ko ruḳh ho udhar ko chaliye
huā hai go ishtiyāq behad jamā ke pā-e-nazar ko chaliye
hue haiñ mahrūm-e-dīd-e-be-dil kiyā tajāhul kā us ne bismil
vo dil-rubā ban gayā hai qātil kamar ko kas ke safar ko chaliye
ġharaz thī iz.hār-e-mudda.ā se sitam ko kiyā ho ga.e jo shākī
vo dekhte hī bigaḌ na jaa.eñ bulāne ab nāma-bar ko chaliye
banā hai dam-sāz kaun un kā pata nahīñ muddatoñ se lagtā
ye raaz ho jaa.e āshkārā kahīñ se lene ḳhabar ko chaliye
agar hai shauq-e-jamāl-e-jānāñ nahīñ hai kuchh pās-e-vaz.a-e-mauzūñ
shikoh-e-tamkīñ vidā.a kiije manāne us ishva-gar ko chaliye
shahīd hai 'sāqī'-e-duā-go kashīda kyuuñ is qadar hue ho
kabhī to ai yaar dekhne ko zarā qatīl-e-nazar ko chaliye