Pandit Jawahar Nath Saqi

kar sair apne dil ki hai nur ka tamasha

Pandit Jawahar Nath Saqi

kar sair apne dil kī hai nuur kā tamāshā
haañ dekh ban ke muusā is tuur kā tamāshā
nāzir vahī nazar bhī manzūr bhī vahī hai
nazzāre kā hai maz.har manzūr kā tamāshā
ye qurb buad kyā hai taqrīb-e-mā-sivā hai
hai tark-e-mā-sivā meñ ye duur kā tamāshā
sūrat kā shefta ho zāhir ho harf ma.anī
mansūr kī hai sūrat mansūr kā tamāshā
ta.amīr-e-vaqt meñ hai vīrānī-e-vasāvas
vīrāñ-kade meñ dekhā ma.amūr kā tamāshā
ḳhum-ḳhāna ishq kā hai pīr-e-muġhāñ kī sohbat
rindān-e-mast dekhā maḳhmūr kā tamāshā
arinī-o-lan-tarānī hai sirr-e-ishq 'sāqī'
rāz-o-niyāz meñ hai mastūr kā tamāshā
Top Urdushayar.com