Pandit Jawahar Nath Saqi

tayyun tasalsul hai naqsh-e-badan ka

Pandit Jawahar Nath Saqi

ta.ayyun tasalsul hai naqsh-e-badan

usī se ta.alluq hai ye jān-o-tan

tasavvuf tabaddul hai ādāt-e-bad

ta.arruf natīja hai ḳhulq-e-hasan

vahī gul shajar hai vahī bostāñ hai

vahī aap hai bāġhbāñ is chaman

vo be-kaif-o-kam hai qadīm-o-azal se

usī se hai ye naqsh-e-dahr-e-kuhan

tavallā samajh ham-zabānī se behtar

ta.ashshuq huā ham-dam-o-ham-suḳhan

ram-o-shauq bhī ajā.ib kashish hai

burā haal hai āshiq-e-ḳhasta-tan

jo sirr-e-ḳhafī hai vo ain-e-jalī hai

khulā aaj uqda ye sirr-e-dahan

latāif meñ muzmar hai tasvīr-e-vahdat

ye ḳhalvat meñ paidā hai lutf anjuman

nazar bar-qadam hai tarīq-e-tasavvur

ram-o-shauq jaada hai sirr-o-elan

nihāñ se ayaañ hai ayaañ meñ nihāñ hai

ye jaada milā hai safar dar-vatan

sulūk-e-tarīqat hai āfāq-o-anfus

ki jalva hai tanzīh meñ sīm-tan

vo be-parda bhī parda-posh-e-nazar hai

hijāb aa gayā hai hameñ husn-e-zan

kabhī shād-o-ḳhandāñ kabhī zār-o-nālāñ

tamāshā hai 'sāqī' ke dīvāna-pan

Top Urdushayar.com