is shoḳh-e-ram-shi.ār se kahtā salām-e-shauq
qāsid yahī hai aaj hamārā payām-e-shauq
tā.īd-e-ġhaib tāle-e-farḳhanda kī madad
vo ishva-sanj aaj huā ham-kalām-e-shauq
qāsid kiyā hai ahd jo īfā-e-ahd kā
sub.h-umīd-e-vasl huī apnī shām-e-shauq
kyā muttasil ho yaar talavvun hai tab.a meñ
ye der-pā kahāñ hai tumhārā qayām-e-shauq
madd-e-nazar jo hai vo hameñ āshkār ho
ai jazb-e-dil-navāz madār-ul-mahām-e-shauq
majzūb-e-ishtiyāq haiñ mast-e-mai-jamāl
roz-e-nuḳhust se hai ye sharb-e-mudām-e-shauq
be-rāh jā rahā hai tujhe kuchh ḳhabar nahīñ
kis pher meñ paḌā hai batā harzā-gām-e-ishq
is kaif-e-zauq-o-shauq meñ tasvīr-e-yār hai
farruḳh-sarosh ne ye diyā hai payām-e-shauq
taufīq kā hai faiz nigāh-e-dalīl-e-rāh
ham ko milā hai ġhaib se kās-ul-kirām-e-shauq
'sāqī' vo dekh shāhid-e-mai-nosh aa gayā
labrez hai ye shā.eq-e-nazzāra jām-e-shauq