ham se jo ahd thā vo ahd-shikan bhuul gayā
apne ushshāq ko vo ġhuncha-dahan bhuul gayā
qais kā jalva-e-lailā jo huā hosh-rubā
vo sarāsīma huā najd kā ban bhuul gayā
kyā karishma ye tirī chashm-e-suḳhan-go ne kiyā
kis kī jānib thā mirā rū-e-suḳhan bhuul gayā
ḳhaar ḳhār-e-ġham-e-ulfat ne kiyā raah ġhalat
terā mad.hosh-e-nazar rāh-e-chaman bhuul gayā
nigah-e-shauq ne dīvāna banāyā mujh ko
kuchh ḳhabar apnī nahīñ hai hama-tan bhuul gayā
ho gayā hosh-rubā husn-e-fareb-e-ālam
nal jo baazī meñ lagā ishq-e-daman bhuul gayā
shauq-o-ram tere jo dekhe haiñ ġhazāl-e-ra.anā
chaukḌī apnī bayābāñ meñ hiran bhuul gayā
sair-e-gulzār meñ hai mahv-e-tamāshā vo gul
bulbul-e-shefta ko ġhuncha-dahan bhuul gayā
sabza-e-ḳhat ne tire raah meñ gherā mujh ko
ġharq maiñ ho na sakā chāh-e-zaqan bhuul gayā
mahv hotā hī nahīñ is kā kabhī dil se ḳhayāl
yaad kartā hī nahīñ mushfiq-e-man bhuul gayā
shāhid-e-mast ne sarmast kiyā hai 'sāqī'
ham vo mad.hosh hue rañg-e-suḳhan bhuul gayā