Pandit Jawahar Nath Saqi

ashk aa aa ke meri aankhon mein tham jate hain

Pandit Jawahar Nath Saqi

ashk aa aa ke mirī āñkhoñ meñ tham jaate haiñ
jab vo kahte haiñ abhī to nahīñ ham jaate haiñ
sikka apnā nahīñ jamtā hai tumhāre dil par
naqsh aġhyār ke kis taur se jam jaate haiñ
koī dam kā hī damāma hai nahīñ dam hamdam
pās-e-anfās nahīñ dam meñ ye dam jaate haiñ
marg-e-ushshāq nahīñ zinda-e-jāved hue
yaar se hone ham-āġhaosh-o-baham jaate haiñ
us jafā-kesh ko hai aaj talāsh-e-ushshāq
shauq-e-dīdār meñ mushtāq-e-sitam jaate haiñ
hind ke ḳhāk-basar 'sāqī' haiñ ahl-e-bātin
ka.aba-e-dil meñ pa.e-tauf-e-haram jaate haiñ
Top Urdushayar.com