vo paas hai tere duur nahīñ tū vāsil hai mahjūr nahīñ
kyuuñ habl-e-murkkab meñ hai phañsā muḳhtār hai tū majbūr nahīñ
sargarm-e-shauq-o-huzūr nahīñ dil sard hai tū mahrūr nahīñ
jis qalb meñ ishq kā nuur nahīñ vo tāb-e-jalva-e-tūr nahīñ
har rañg meñ hai vo jalva-numā tū ek hijāb meñ jā ke chhapā
kyuuñ kor savād huā hai batā kyā āñkhoñ meñ tire nuur nahīñ
jo ishq meñ bar-sar-e-dār huā sardār vahī sarshār huā
sarmast visāl-e-yār huā kis tarah kaheñ mansūr nahīñ
jo bātin meñ mashġhūl hue mahbūb hue maqbūl hue
maj.hūl hue mārūf kahāñ mash.hūr jo haiñ manzūr nahīñ
kyuuñ mahv-e-sar-e-pindār huā ai musht-e-ḳhāk hai naqsh-e-fanā
duniyā meñ kahāñ hai rañg-e-baqā jamshed nahīñ maġhfūr nahīñ
mastūr jo thā manzūr huā vo jalva-e-rañg-e-zuhūr huā
jo hijāb thā ruḳh se duur huā mushtāq-laqā mahjūr nahīñ
jo aap huā benām-o-nishāñ us ko hai milā vo jān-e-jahāñ
merāj-e-visāl hai us ko kahāñ jo ishq meñ chaknā-chūr nahīñ
maiñ terā fidā-e-sarāpā huuñ maiñ tālib-e-vasl-e-muarra huuñ
mushtāq-o-shaidā terā huuñ maiñ tālib-e-hūr-o-qusūr nahīñ
maḳhmūr-e-jām-e-bāqī hai shaidā-e-navā-e-irāqī hai
sarshār-e-mohabbat 'sāqī' hai sar-mast hai ye mastūr nahīñ