Pandit Jawahar Nath Saqi

hasti-e-nist-numa dida-e-hairan samjha

Pandit Jawahar Nath Saqi

hastī-e-nīst-numā dīda-e-hairāñ samjhā
tujh ko daurān-e-baqā ḳhvāb-e-pareshāñ samjhā
kufr-o-īmāñ kā ajab rañg hai nairañgī meñ
ye vo nairañg hai kāfir na musalmāñ samjhā
lailī-e-shoḳh-adā ain-e-tasavvur jo banī
qais ko dāman-e-sahrā meñ hudā-ḳhvāñ samjhā
vus.at-e-mashrab-e-rindāñ kā nahīñ hai mahram
zāhid-e-sāda hameñ be-sar-o-sāmāñ samjhā
rañg-e-fitrat ne banāyā hai jo majzūb-e-qimāsh
manzar-e-ālam-e-nairañg-e-bayābāñ samjhā
sālik-e-rāh-e-talab aap hue rāh-e-ġhalat
jāda-e-manzil-e-dushvār ko āsāñ samjhā
jām-e-sarshār se masrūr rahegā 'sāqī'
terā mastāna bhī ai sāqī-e-daurāñ samjhā
Top Urdushayar.com