hamārā husn-e-ta.alluq vafā bane na bane
vo ishva-sanj hai farruḳh-liqā bane na bane
chale haiñ shauq meñ ham yā-ḳhudā bane na bane
vo kyā sulūk kare dil-rubā bane na bane
kiyā tasavvur-e-maqsūd ne hameñ hairāñ
ye muntahā-e-nazar mudda.ā bane na bane
safīna bahr-e-ta.ashshuq meñ ab to Daal chukā
jo āshnā hai mirā nā-ḳhudā bane na bane
fareb-e-jalva hai naqsh-o-nigār fitrat meñ
jo mahv-e-dīd ho hairat-adā bane na bane
shahīd-e-kaif-e-tamannā hai āshiq-e-betāb
bahār-e-husn-e-safā ham-navā bane na bane
fusūñ ḳhayāl hai tahrīk-e-shauq-e-ra.anā.ī
vo mast-e-nāz mirā ḳhud-numā bane na bane
bañdhī hai ḳhanda-e-zer-e-labī se kuchh ummīd
vo zūd-ranj hai zūd-āshnā bane na bane
vo jazb-e-qalb ke nairañg kā huā qaa.il
hamārā aa.ina hairat-numā bane na bane
kabhī to jām-e-ināyat kā ho ġhanī 'sāqī'
ye be-niyāz tirā be-navā bane na bane