agar itnā na tū ayyār hotā
to dushman kā na hargiz yaar hotā
duī kā naqsh miTtā dil se ai kaash
mai-e-vahdat se maiñ sarshār hotā
jo hote āj-kal qais aur farhād
maiñ un kā qāfila-sālār hotā
na hotā gar tirā tālib jahāñ meñ
to maiñ pāband-e-nañg-o-ār hotā
lagā.e chaaT par haiñ us ko dushman
ilāhī maiñ bhī kuchh zardār hotā
agar hotā mujhe paas aabrū kā
na terā āshiq-e-dīdār hotā
taḌaptā hai qafas meñ tā.ir-e-dil
nikal jaatā agar par-dār hotā
tamannā dil kī 'sāqī' jab nikaltī
agar muñh se na kuchh iz.hār hotā