dil se armāñ nikal rahe haiñ
mere bhī din badal rahe haiñ
varna ghar meñ hai ghup añdherā
yādoñ ke charāġh jal rahe haiñ
ye ajab log haiñ ki un ke
paañv nahīñ pe chal rahe haiñ
ham dar-e-shāh par savālī
aaj haiñ aur na kal rahe haiñ
vo hī pahuñcheñge yaar tak jo
girte girte sambhal rahe haiñ
ham niko naam to hue par
dil pe aare se chal rahe haiñ
un ko āzād kar jo ab tak
zer-e-habs-e-ilal rahe haiñ
un ko mahbūs kar jo kab se
qā.ede sab kuchal rahe haiñ
kah na karb-o-balā kā qissa
lafzoñ ke dil dahal rahe haiñ