Akhtar Saeed

dil ke rahne ke liye shahr-e-KHayalat nahin

Akhtar Saeed

dil ke rahne ke liye shahr-e-ḳhayālāt nahīñ
sar-ba-sar hai nafī is meñ kahīñ isbāt nahīñ
rañj gar vaañ se to rāhat bhī vahīñ se aave
kaun kahtā hai yahāñ vahdat-e-āyāt nahīñ
mujh se kahte haiñ havā.ej se sarokār na rakh
merī tārīf ba-juz qissa-e-hājāt nahīñ
koī batlāo shab-o-roz pe kyā guzrī hai
raat ḳhāmosh nahīñ din meñ koī baat nahīñ
thī falātūñ kī jo jamhūr se rū-gardānī
ham samajhte the ḳhurāfāt ḳhurāfāt nahīñ
dil se guzre kabhī dushman ke liye fikr-e-zarar
vo vatīra nahīñ merā mire jazbāt nahīñ
ahd-e-be-mehr meñ ik chaal mohabbat bhī chale
shah meñ baazī hai mirī garche abhī maat nahīñ
sāhibā dekhnā had se na baḌhe yūrish-e-ġham
nā-tavāñ dil hai mirā ḳhema-e-sādāt nahīñ
Top Urdushayar.com