Akhtar Saeed

dur hai ba-huzur lagta hai

Akhtar Saeed

duur hai bā-huzūr lagtā hai
go hai mastūr uur lagtā hai
āb-o-nān-o-havā nahīñ kaafī
tere dil meñ futūr lagtā hai
jā rahe ho ḳhudā ke ghar ya.anī
vo tumheñ ḳhud se duur lagtā hai
garche hargiz mirā qusūr nahīñ
phir bhī merā qusūr lagtā hai
ek aalam pe bhī nahīñ raazī
ye dil nā-subūr lagtā hai
zehn āzād fikr hastī hai
jo gunā kā tanūr lagtā hai
ek miTTī kā Dher hai vo to
jo tumheñ koh-e-tūr lagtā hai
roz hotā huuñ ham-kalām us se
roz yaum-e-nushūr lagtā hai
ḳhud phañsāte ho ḳhud chhuḌāte ho
khel koī huzūr lagtā hai
Top Urdushayar.com