ḳhūbī-e-tarz-e-maqālāt se kyā hotā hai
baat karte rahe ham baat se kyā hotā hai
raat kaT jaa.e to phir raat chalī aa.egī
raat kaT jā.egī ik raat se kyā hotā hai
kisī jānib se javāb aa.e to kuchh baat chale
kāvish-e-husn-e-savālāt se kyā hotā hai
jab ki taqtīr-e-rag-e-jāñ se bañdhī hai taqdīr
be-ḳhabar zikr-o-munājāt se kyā hotā hai
daan diije ki mire ġham kā mudāvā hove
rañj hotā hai hisābāt se kyā hotā hai
dil kī vus.at se hai āsānī-e-anfās vale
vus.at-e-sahn-e-mahallāt se kyā hotā hai
sāmne aao kisī roz to kuchh baat kareñ
umr-bhar hall-e-muammāt se kyā hotā hai
zaat hī maz.har-e-me.ār-e-haq-o-bātil hai
vo ġhalat kahte haiñ ki zaat se kyā hotā hai
jaañ nikal jā.egī to faisla deñge che ḳhuub
sāhibo aisī mukāfāt se kyā hotā hai