Akhtar Saeed

phir saba guzri hai dar-e-sehn-e-chaman kya kahna

Akhtar Saeed

phir sabā guzrī hai dar-e-sehn-e-chaman kyā kahnā
ab talak kāñpte haiñ sarv-o-saman kyā kahnā
zarra-e-ḳhāk huuñ maiñ sail-e-havādis ke liye
aur is zarre meñ dil shāh-e-zaman kyā kahnā
jism ke hukm se āzād ho jaañ chāhā thā
ruuh ke hukm se āzād hai tan kyā kahnā
shahr vīrān huā gor-e-ġharībāñ kī tarah
us pe maiñ aur mirī rañgīnī-e-fan kyā kahnā
hai garāñ tab-e-shahīdāñ pe mazār-o-marqad
jism ḳhūñ-basta hai ḳhud un kā kafan kyā kahnā
lek ye bhī to khule kuchh tirī niyyat kyā hai
nudrat-e-fikr aur andāz-e-suḳhan kyā kahnā
āḳhirash sahl huā naf-o-zarar kā matlab
ab har ik chiiz pe chaspāñ hai saman kyā kahnā
ziist ik pal hai faqat dekhiye kyā kījiye kyā
aur is pal meñ bhī sad rañj-o-mehan kyā kahnā
is qadar ḳhauf meñ huuñ maiñ ki na niiñd aave hai
kis qadar ḳhvāb meñ haiñ ahl-e-vatan kyā kahnā
Top Urdushayar.com