Akhtar Saeed

hamare pas hai hikmat na raaz kya kije

Akhtar Saeed

hamāre paas hai hikmat na raaz kyā kiije
sivā.e dard-e-dil-e-jāñ-gudāz kyā kiije
ināyateñ haiñ agarche hazār-hā lekin
bane na baat to banda-navāz kyā kiije
na zarb-o-tār se rishta na dil-fareb-e-dam
mire ḳhayāl ko aalam hai saaz kyā kiije
ze-rū-e-fiqh jo sab se ziyāda hai ma.atūb
hamārī us se bhī hai sāz-bāz kyā kiije
jo jānte haiñ nahīñ jānte na jaane haiñ
jo hai ayaañ yahāñ vo bhī hai raaz kyā kiije
jahāñ guzārish-e-ahvāl par hoñ ta.azīreñ
sivā.e jur.at-e-arz-e-niyāz kyā kiije
khulā ik umr kī koshish se ye ki likkhā hai
hamāre naam nasheb-o-farāz kyā kiije
burā ho lazzat-e-taḳh.īl kā ki rahtī hai
haqīqatoñ meñ talāsh-e-majāz kyā kiije
hazār dard hai aur jān-e-nā-tavāñ merī
ilaaj hai na gale kā javāz kyā kiije
Top Urdushayar.com