ḳhālī hai zehn tāqat-e-guftār kyā kare
hai aañkh band rauzan-e-dīvār kyā kare
ham aql dil ke sāmne rakhte rahe vale
dariyā ke aage ret kī dīvār kyā kare
jī merā ab to merī bhī sohbat se tañg hai
har rishta yaañ hai bā.is-e-āzār kyā kare
har-sū hai kā.enāt meñ apne lahū kā rañg
ho chashm-e-dil se duur to dīdār kyā kare
kahtā huuñ baar baar samajhtā nahīñ koī
bahrā ho dil to baat pe isrār kyā kare
juz teġh dard-e-jāñ kā nahīñ koī shai ilaaj
ḳhālī hai haath dīda-e-ḳhūñ-bār kyā kare
har falsafe se shauq hai āzād sar-ba-sar
iqrār kyā kare yahāñ inkār kyā kare
uljhe hue haiñ kitne tamannā ke silsile
ai ḳhāliq-e-hayāt gunāhgār kyā kare
rāh-e-nabī meñ bachche javāñ-pīr sab ga.e
ḳheme meñ tanhā ābid-e-bīmār kyā kare