Akhtar Saeed

ishq ka shor karen koi talabgar to ho

Akhtar Saeed

ishq kā shor kareñ koī talabgār to ho
jins bāzār meñ le jaa.eñ ḳharīdār to ho
hijr ke soḳhta-jāñ aur jaleñge kitne
tuur par baiThe haiñ kab se tirā dīdār to ho
shiddat-e-dard do-pal ke liye kam hotā ki
ġham ke alfāz ke siñgār meñ iz.hār to ho
kab se ummīd lagā.e hue baiThe haiñ ham
ne sahī gar nahīñ iqrār so inkār to ho
kufr ehrām ke parde meñ chhupā dekhā hai
ek aalam hai agar darpai zunnār to ho
ham ne maanā ki sharāfat hai baḌī chiiz magar
kuchh zamāne ko sharāfat se sarokār to ho
ḳhāna-e-dil meñ nahīñ ek kiran kā bhī guzar
saarī duniyā hai agar matla-e-anvār to ho
rāzdārī hī meñ hotā hai sharīfoñ kā hisāb
tujh ko manzūr hai gar bar-sar-e-bāzār to ho
Top Urdushayar.com