mabda-e-husn se kaise ye judā hai yaksar
ki zamān aur makāñ ek adā hai yaksar
ye jo dī hai hameñ āzādī-e-afkār-o-amal
koī batlāo jazā hai ki sazā hai yaksar
vaqt hai teshā-o-shamshīr kā jis meñ kab se
vo hathelī abhī masrūf-e-duā hai yaksar
marhabā jashn-e-jibillat ki nahīñ ham pāband
marhabā ziist ki āzād-e-hayā hai yaksar
baat kahne ko hai kuchh aur jahāñ kā mamdūh
bāl-e-jibrīl nahīñ bāl-e-humā hai yaksar
tū samajhtā hai jise apnā muizz-o-razzāq
ham samajhte haiñ vahī terā ḳhudā hai yaksar
aaj jo fitrat-e-ādam nazar aatī hai hameñ
ye mirī jaan zamāne kī huā hai yaksar
mamba-e-faiz se aatī hai jo rahmat yaañ tak
ye hameñ āl-e-mohammad kī atā hai yaksar
ḳhāliq-e-ḳhatm-e-rusul āl-e-ebā kā masjūd
apnā masjūd magar āl-e-ebā hai yaksar