'aḳhtar' ko to riye meñ bhī hai aar kyā kare
baiThā huā hai der se be-kār kyā kare
yak hujūm-e-dard aur aur e tamām
dil zer par lagā.e hai minqār kyā kare
tārīḳh ki rahī hai ki miTtā nahīñ hai zulm
muḳhtār-e-kul batā tirā sansār kyā kare
khīñche hai sab ko dast-e-fanā ek sā to phir
ek sāda-lauh kare yahāñ ayyār kyā kare
koī nahīñ hai mujh ko hunar rozgār kā
juz ḳhāksār midhat-e-sarkār kyā kare
jo saarī kā.enāt kī fitrat kā ho amiiñ
har tajarbe kā jo ho ḳharīdār kyā kare
jī muztarib hai hiddat-e-qīl-o-maqāl meñ
DhūñDe hai koī sāya-e-dīvār kyā kare
shahroñ meñ merī ḳhaak aḌe misl-e-bū-e-gul
be-shāma hai ḳhalq-e-tarah-dār kyā kare
maulā madad ki maiñ huuñ azādār-e-āl-e-ū
aaqā tire baġhair gunāhgār kyā kare