ro rahā thā maiñ bharī barsāt thī
haal kyā khultā añdherī raat thī
mere nāloñ se hai barham bāġhbāñ
ye ḳhafā hone kī koī baat thī
din nahīñ dekhā sivā-e-shām-e-hijr
zindagī-bhar meñ yahī ik raat thī
nāla-o-āh-o-fuġhāñ se baḌh ga.ī
varna ulfat ik zarā sī baat thī
hashr tak laayā jahāñ se dard-e-dil
kis ko detā kyā koī sauġhāt thī
band kiiñ āñkheñ ki dekhūñ ḳhvāb-e-sub.h
khol kar jab aañkh dekhā raat thī
ai sabā ġhunchoñ ne hañs kar kyā kahā
un kā qissa thā ki merī baat thī
allāh allāh vahdat-e-shām-e-firāq
ek merī ek us kī zaat thī
aap hī gin deñ masā.ib hijr ke
yuuñ to kahne ke liye ik raat thī
hichkiyoñ se rāz-e-ulfat khul gayā
aa ga.ī muñh par jo dil meñ baat thī
sham-e-marqad tujh se shikva hai mujhe
mere ghar meñ bhī añdherī raat thī
kuchh na kuchh 'sāqib' ne paidā kar liyā
ye zamīñ to dushman-e-abyāt thī