Akhtar Saeed

hai nasim-e-subh aawara usi ke nam par

Akhtar Saeed

hai nasīm-e-sub.h āvāra usī ke naam par
bū-e-gul Thahrī huī hai jis kalī ke naam par
kuchh na niklā dil meñ dāġh-e-hasrat-e-dil ke sivā
haa.e kyā kyā tohmateñ thiiñ aadmī ke naam par
phir rahā huuñ kū-ba-kū zanjīr-e-rusvā.ī liye
hai tamāshā sā tamāshā zindagī ke naam par
ab ye aalam hai ki har patthar se Takrātā huuñ sar
maar Daalā ek but ne bandagī ke naam par
kuchh ilaaj un kā bhī sochā tum ne ai chāragaro
vo jo dil toḌe ga.e haiñ dilbarī ke naam par
koī pūchhe mere ġham-ḳhvāroñ se tum ne kyā kiyā
ḳhair us ne dushmanī kī dostī ke naam par
koī pābandī hai hañsne par na ronā jurm hai
itnī āzādī to hai dīvāngī ke naam par
aap hī ke naam se paa.ī hai dil ne zindagī
ḳhatm hogā ab ye qissa aap hī ke naam par
kārvān-e-sub.h yaaro kaun sī manzil meñ hai
maiñ bhaTaktā phir rahā huuñ raushnī ke naam par
Top Urdushayar.com