dard ik roz koī rañg dikhā.e to bane
ruuh gar chhoḌ ke tan dahr meñ aa.e to bane
nazar aa.eñ tire chehre ke ḳhad-o-ḳhāl tamām
dil se uTh jaa.eñ kabhī vahm ke saa.e to bane
vahdat-e-dard ho qariyoñ meñ havā kī mānind
ek ho jaa.eñ agar apne parā.e to bane
vā.izāñ muzhda ki jannat meñ bahār aa.ī hai
merī duniyā se ḳhizāñ lauT ke jaa.e to bane
dev-e-taqdīr khaḌā hai mere aage har dam
koī tadbīr ise zahr pilā.e to bane
jis ko dekhā kisī murde kā muqallid dekhā
apnī ho jaa.e har ik shaḳhs kī raa.e to bane
sab ke dukh suntā huuñ maiñ zo.af-e-za.īfī meñ vale
merā dukh koī mirī maañ ko sunā.e to bane
apne a.amāl ko auroñ se chhupā rakkhā hai
merī niyyat ko koī mujh se chhupā.e to bane
maiñ banātā to bahut huuñ nahīñ bantī lekin
vo ināyat se mirī baat banā.e to bane