Akhtar Saeed

ek ajab humne majra dekha

Akhtar Saeed

ik ajab ham ne mājrā dekhā
dard bardāsht se sivā dekhā
dil-e-be-chain ko kahāñ le jaa.eñ
ik jahāñ se use lagā dekhā
vaa.e aḳhtar ḳhudā ko bhuul ga.e
jab kahīñ koī aasrā dekhā
zahar-e-mahrūmī-e-masā chakkhā
qahr-e-masmūmī-e-sabā dekhā
koī ummīd hai to ġhairoñ se
bārhā ḳhud ko aazmā dekhā
phuul gulshan meñ mor jañgal meñ
sīm-e-sub.h-o-zar-e-masā dekhā
nigah-e-shoḳh-e-surma-sā dekhī
dast-e-sad turra-e-hinā dekhā
ne sahī gar vafā nahīñ dekhī
ham ne yaañ husn-e-be-panah dekhā
jis ne chāhā use ḳhudā chāhā
jis ne dekhā use ḳhudā dekhā
Top Urdushayar.com