Akhtar Saeed

jun fauj ki maftuh ho zanjir mein aawe

Akhtar Saeed

juuñ fauj ki maftūh ho zanjīr meñ aave
alfāz kā lashkar mirī tahrīr meñ aave
ik ḳhaas ināyat hai ki dete nahīñ mujh ko
vo dard ki jo panja-e-tadbīr meñ aave
yaksar rag-e-mansūr kī himmat se pare hai
vo ilm ki ik arsa-e-taqtīr meñ aave
jo chāhe bhare maiñ ne musavvir se kahā thā
kuchh rang-e-mohabbat mirī tasvīr meñ aave
vo baat ḳhushā detā hai dil jis kī gavāhī
ye kyā ki kaho aglī asātīr meñ aave
jo hukm tumhārā hai vo vājib hai bilā-shak
jo arz hamārī hai vo ta.azīr meñ aave
hai garche bahut mere liye ḳhvāb kī duniyā
kuchh aur maza ḳhvāb kī ta.abīr meñ aave
jis paas mudāvā nahīñ kuchh āb-o-havā kā
lāzim hai mire halqa-e-taqrīr meñ aave
mumkin nahīñ aadam ke liye shān-e-ḳhudā.ī
haañ yuuñ ki magar āya-e-tat.hīr meñ aave
Top Urdushayar.com