ḳhud se kitnā kiyā daġhā maiñ ne
abhī sīkhī nahīñ vafā maiñ ne
niklā chuhā pahāḌ ko khodā
jo kiyā jo kahā sunā maiñ ne
kholiye kyuuñ dukhoñ ke daftar ko
sochnā band kar diyā maiñ ne
haañ lagāyā hai zikr azmat par
zor se ek qahqaha maiñ ne
hāsil-e-zīst hai ki dekhā hai
sumbul-o-sabz-o-sabā maiñ ne
zindagī zahar thā use suqrāt
jur.a jur.a magar piyā maiñ ne
chhup ke baiThā huuñ sharmsārī se
ka.abe se duur lī hai jā maiñ ne
ye to tazlīl hai shahādat kī
kabhī māñgā na ḳhūñ-bahā maiñ ne
jab baḌhī aur sharm-e-uryānī
oḌh lī ḳhaak kī qabā maiñ ne
apne dil ko to sī nahīñ saktā
apne hoñToñ ko sī liyā maiñ ne
ḳhauf se bhaag niklā majlis se
jab sunā zikr-e-karbalā maiñ ne