Akhtar Saeed

be-chaargi-e-dosh hai aur bar-e-garan hai

Akhtar Saeed

be-chārgī-e-dosh hai aur bār-e-garāñ hai
iz.hār pe pābandī hai aur muñh meñ zabāñ hai
hotā hai yahāñ roz mire dard kā saudā
ai teġh-ba-kaf roz-e-mukāfāt kahāñ hai
āzād karo ḳhuun ko bāzār meñ laao
sadiyoñ se ye mahkūm ragoñ hī meñ ravāñ hai
haañ rañg-e-bahārāñ hai magar us ke lahū se
jo dast-ba-dil mohr-ba-lab dard-ba-jāñ hai
har samt hai bāzār khulā hirs-o-havas kā
har shahr meñ har kūche meñ vaa.iz kī dukāñ hai
kal kis ko zabāñ band karoge zarā socho
kal dekhoge ham ko ki zabāñ hai na dahāñ hai
kis shahr-e-ḳhamoshāñ meñ chale aa.e haiñ ham log
ne zor-e-sināñ hai na kahīñ shor-e-fuġhāñ hai
har dard kī had hotī hai yuuñ lagtā hai jaise
is dard kā koī na zamāñ hai na makāñ hai
Top Urdushayar.com