Akhtar Saeed

dana hue buzurg hue rahnuma hue

Akhtar Saeed

daanā hue buzurg hue rahnumā hue
vo din ki ham the sham-e-majālis havā hue
un ko nahīñ dimāġh-e-talazzuz jahān meñ
jo ibtidā se vaqf-e-ġham-e-intihā hue
ḳhurshed kī nigāh se shabnam hai mushtahar
vo āshnā hue haiñ to sab āshnā hue
manzil hai shahryārī-e-ālam to dekhnā
is raah meñ hazāroñ qabīle fanā hue
had se ziyāda ham ne ḳhushāmad butoñ kī kī
ye log baḌhte baḌhte bil-āḳhir ḳhudā hue
is kā bhī kuchh hisāb kareñge ba-roz-e-hashr
naale azal se kitne sipurd-e-sabā hue
karte rahe huzūr pe takiya aḳhīr tak
ham āsare ke hone se be-āsrā hue
kis din hamārā hirs-o-havā se barī thā dil
kis roz ham se apne farīze adā hue
Top Urdushayar.com