Asif Saqib

ojhal hui nazar se be-baal-o-par gai hai

Asif Saqib

1939
ojhal huī nazar se be-bāl-o-par ga.ī hai
lafzoñ kī be-karānī bastoñ meñ bhar ga.ī hai
dīvār-e-dil pe ab tak ham dekhte rahe haiñ
tasvīr kis kī laTkī kis kī utar ga.ī hai
us kī galī meñ ham par patthar baras paḌe the
jaisā guzar huā thā vaisī guzar ga.ī hai
jab DhūñDte rahe the utnī ḳhabar nahīñ thī
ham meñ kidhar se aa.ī duniyā kidhar ga.ī hai
bhāgī thī ik hasīna bāġhoñ ke shor-o-ġhul se
us kī balā javānī bachchoñ se Dar ga.ī hai
hai chal-chalāv kaisā kaisā hai ānā-jānā
vo shaam jā chukī thī ab vo sahar ga.ī hai
siine ke biich 'sāqib' aisā hai marnā jiinā
ik yaad jī uThī thī ik yaad mar ga.ī hai
Top Urdushayar.com