bārish kaisī jādūgar hai
qatra qatra nūr-e-nazar hai
aas kā panchhī DhūñD ke laao
jis kī nishānī TuuTā par hai
us meñ āñkheñ jaḌ jā.ūñgā
jis dīvār meñ andhā dar hai
TuuTī khaaT pe so jaatā huuñ
apnā ghar phir apnā ghar hai
raste kī anjān ḳhushī hai
manzil kā an-jānā Dar hai