numū kī ḳhaak se uTThegā phir lahū merā
aqab se vaar kare chāhe jañg-jū merā
lakīr khīñch ke mujh pe vo phir mujhe dekhe
nigār-o-naqsh meñ chehra hai hū-ba-hū merā
raqīb-e-tishna tū jī bhar ke ḳhaak chāTegā
chaTaḳh ke TuuT gayā haath meñ subū merā
maiñ apnī ruuh kī tārīkiyoñ meñ jhāñk chukā
nikal sakā na kamīñ-gāh se adū merā
ye ruup apne masīhā kā dekh kar 'sāqib'
aTak ke rah hī gayā saañs dar-gulū merā