Asif Saqib

ghazal mein dard ka jadu mujhi ko hona tha

Asif Saqib

1939
ġhazal meñ dard kā jaadū mujhī ko honā thā
ki dasht-e-ishq meñ baahū mujhī ko honā thā
use to chāñd bhī bechārgī meñ chhoḌ gayā
añdherī raat kā jugnū mujhī ko honā thā
zarā sī baat pe ye jog kaun letā hai
tumhāre pyaar meñ sādhū mujhī ko honā thā
badan ke aur havāle to sab salāmat the
magar kaTā huā baazū mujhī ko honā thā
kisī kā karb mirī zaat se umaDtā hai
kisī kī aañkh kā aañsū mujhī ko honā thā
maiñ ism rakhtā huuñ yaarī meñ ġham-gusārī meñ
har ek zaḳhm kā daarū mujhī ko honā thā
gharoñ ko chhoḌ ke sab hoshiyār kahlā.eñ
vatan kī miTTī kā mādho mujhī ko honā thā
ye apnī apnī tabī.at kī baat hai 'sāqib'
use jo phuul to ḳhushbū mujhī ko honā thā
Top Urdushayar.com