bazm-e-suḳhan ko aap kī dil-gīr chal paḌe
'ġhālib' ka.ī chale haiñ ka.ī 'mīr' chal paḌe
jannat kī kyā bisāt ki vo chal ke aa.egī
merī taraf to vādī-e-kashmīr chal paḌe
harakat meñ aa ga.e haiñ sabhī rañg-e-ḳhāl-o-ḳhat
un kī nazar ke sehr se tasvīr chal paḌe
dekhā jo mujh ko aap kī palkeñ jhapak ga.iiñ
ik jism-e-nā-tavāñ pe ka.ī tiir chal paḌe
qaidī rihā hue the pahan kar na.e libās
ham to qafas se oḌh ke zanjīr chal paḌe
toḌā nahīñ hai shāḳh se ḳhush thī bakāolī
ham le ke us ke phuul kī tasvīr chal paḌe
pūchā kisī ne aap ko jaanā hai kis taraf
ham log sū-e-vādī-e-kashmīr chal paḌe
'sāqib' ham apne gaañv kī barbādiyoñ ke ba.ad
is dil meñ le ke hasrat-e-tāmīr chal paḌe