Asif Saqib

jhankar hai maujon ki bahte hue pani se

Asif Saqib

1939
jhankār hai maujoñ kī bahte hue paanī se
zanjīr machal jaa.e qadmoñ kī ravānī se
ik mauj-e-sabā bhejūñ afkār ke zindāñ ko
jo lafz chhuḌā laa.e pur-pech ma.ānī se
kitnī hai paḌī mushkil din phirte haiñ āḳhir meñ
maiñ ne ye sabaq sīkhā bachchoñ kī kahānī se
tafsīl se likkhā thā jab naama mohabbat kā
'ġhālib' ko ġharaz kyā thī paiġhām-e-zabānī se
jī kartā hai mar jaa.eñ ab lauT ke ghar jaa.eñ
jannat kā ḳhayāl aa.e gandum kī girānī se
ḳhushbū ko uḌāne meñ ye raat kī chorī kyuuñ
pūchhe to koī jā kar us raat kī raanī se
kis darja munāfiq haiñ sab ahl-e-havas 'sāqib'
andar se to patthar haiñ aur lagte haiñ paanī se
Top Urdushayar.com