ham aise sar-phire duniyā ko kab darkār hote haiñ
agar hote bhī haiñ be-intihā dushvār hote haiñ
ḳhamoshī kah rahī hai ab ye do-ābā ravāñ hogā
havā chup ho to bārish ke shadīd āsār hote haiñ
zarā sī baat hai is kā tamāshā kyā banā.eñ ham
irāde TūTte haiñ hausle mismār hote haiñ
shikāyat zindagī se kyuuñ kareñ ham ḳhud hī tham jaa.eñ
jo kam-raftār hote haiñ vo kam-raftār hote haiñ
gale meñ zindagī ke rīsmān-e-vaqt hai to kyā
parinde qaid meñ hoñ to bahut hoshiyār hote haiñ
jahāñ vaale muqayyad haiñ abhī tak ahd-e-tiflī meñ
yahāñ ab bhī khilaune raunaq-e-bāzār hote haiñ
gulū-e-ḳhushk un ko bhejtā hai de ke mashkīza
kuchh aañsū tishna-kāmoñ ke alam-bardār hote haiñ
badan un ko kabhī bāhar nikalne hī nahīñ detā
'qamar-abbas' to bā-qā.edā tayyār hote haiñ