jahāñ saare havā banñe kī koshish kar rahe the
vahāñ bhī ham diyā banñe kī koshish kar rahe the
hameñ zor-e-tasavvur bhī gañvānā paḌ gayā ham
tasavvur meñ ḳhudā banñe kī koshish kar rahe the
zamīñ par aa gire jab āsmāñ se ḳhvāb mere
zamīñ ne pūchhā kyā banñe kī koshish kar rahe the
unheñ āñkhoñ ne bedardī se be-ghar kar diyā hai
ye aañsū qahqaha banñe kī koshish kar rahe the
hameñ dushvāriyoñ meñ muskurāne kī talab thī
ham ik tasvīr sā banñe kī koshish kar rahe the