lamha-dar-lamha tirī raah takā kartī hai
ek khiḌkī tirī aamad kī duā kartī hai
silvaTeñ chīḳhtī rahtī haiñ mire bistar kī
karvaToñ meñ hī mirī raat kaTā kartī hai
vaqt tham jaatā hai ab raat guzartī hī nahīñ
jaane dīvār-ghaḌī raat meñ kyā kartī hai
chāñd khiḌkī meñ jo aatā thā nahīñ aatā ab
tīrgī chāroñ taraf raqs kiyā kartī hai
mere kamre meñ udāsī hai qayāmat kī magar
ek tasvīr purānī sī hañsā kartī hai