Abbas Qamar

haalat-e-haal se begana bana rakkha hai

Abbas Qamar

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1994
hālat-e-hāl se begāna banā rakkhā hai
ḳhud ko maazī kā nihāñ-ḳhāna banā rakkhā hai
ḳhauf-e-dozaḳh ne hī ījād kiyā hai sajda
Dar ne insān ko dīvāna banā rakkhā hai
mimbar-e-ishq se taqrīr kī ḳhvāhish hai hameñ
dil ko is vāste maulānā banā rakkhā hai
mātam-e-shauq bapā karte haiñ har shaam yahāñ
jism ko ham ne azāñ-ḳhāna banā rakkhā hai
vaqt-e-ruḳhsat hai mire chāhne vāloñ ne bhī ab
saañs ko vaqt kā paimāna banā rakkhā hai
jānte haiñ vo parinda hai nahīñ Thahregā
ham ne us dil ko magar daanā banā rakkhā hai
Top Urdushayar.com