Salim Shuja Ansari

pesh-e-idrak meri fikr ke shane khul jaen

Salim Shuja Ansari

Firozabad, Uttar pradesh, India

pesh-e-idrāk mirī fikr ke shāne khul jaa.eñ
har taraf ālam-e-imkāñ ke bahāne khul jaa.eñ
tujh pe mauqūf hai duniyā kī tahī-dāmānī
tū jo khul jaa.e to aalam ke ḳhazāne khul jaa.eñ
phir se āñkhoñ ko mirī nūr-e-basīrat ho atā
is sanam-ḳhāne meñ phir ā.ina-ḳhāne khul jaa.eñ
sham-e-hastī huī bedār falak se kah do
az.hdahān-e-shab-e-zulmat ke dahāne khul jaa.eñ
ab koī dast-e-rifāqat na rakhe siine par
ain mumkin hai ki zaḳhmoñ ke muhāne khul jaa.eñ
adh-khulī aañkh meñ raqsāñ hai ġham-e-mustaqbil
band ho aañkh to gum-gashta zamāne khul jaa.eñ
tū agar fikr kī parvāz ko baḳhshe rif.at
kaun jaane ki kahāñ kitne Thikāne khul jaa.eñ
lab-kushā hoñ to bikhar jaa.eñ fasāne kitne
chup jo ho jā.ūñ to aurāq purāne khul jaa.eñ
is aqīdat ko mohabbat se badal le 'sālim'
kyā pata kab tirī tasbīh ke daane khul jaa.eñ
Top Urdushayar.com