Salim Shuja Ansari

jab aasman zamin par utarne lagta hai

Salim Shuja Ansari

Firozabad, Uttar pradesh, India

jab āsmān zamīñ par utarne lagtā hai
to zindagī kā tasavvur bikharne lagtā hai
kured letā huuñ tere ḳhayāl se akasr
tirī vafā kā agar zaḳhm bharne lagtā hai
jise fareb milā ho vafāoñ ke badle
vo shaḳhs apne hī saa.e se Darne lagtā hai
maiñ jab simaTtā huuñ hālāt kī panāhoñ meñ
mirā vujūd-e-shikasta bikharne lagtā hai
zamāna kyuuñ na mirī raah kī rukāvaT ho
mirā junūñ bhī to had se guzarne lagtā hai
uḌaan bhartā huuñ jab bhī ḳhalāoñ se aage
na jaane kaun mire par katarne lagtā hai
qadam baḌhātā huuñ 'sālim' hayāt kī jānib
to mere paañv meñ rasta Thaharne lagtā hai
Top Urdushayar.com