Salim Shuja Ansari

KHak-basta hain tah-e-KHak se bahar na hue

Salim Shuja Ansari

Firozabad, Uttar pradesh, India

ḳhāk-basta haiñ tah-e-ḳhāk se bāhar na hue
jism apne kabhī poshāk se bāhar na hue
jur.at-e-bāzū-e-pairāk se bāhar na hue
ye samundar mirī imlāk se bāhar na hue
zehn-e-ḳhufta ne hama-vaqt sa.ī kī lekin
fikr ke zāviye idrāk se bāhar na hue
zaḳhm detī hai nayā roz mujhe bhuuk mirī
ye masā.ib mirī ḳhūrāk se bāhar na hue
zer-e-takmīl haiñ dast-e-fan-e-kūza-gar meñ
ham vo ījād haiñ jo chaak se bāhar na hue
shāḳh par ubhre haiñ tābinda guloñ kī sūrat
jo sharāre ḳhas-o-ḳhāshāk se bāhar na hue
kaam aa.ī na koī vaqt kī chārā-juī
zaḳhm-e-kohnā dil-e-sad-chāk se bāhar na hue
mahv-e-parvāz haiñ sadiyoñ se yūñhī shams-o-qamar
ye parinde had-e-aflāk se bāhar na hue
maslahat-kosh hue vaqt ke chehre 'sālim'
aks ā.īna-e-bebāk se bāhar na hue
Top Urdushayar.com