Salim Shuja Ansari

muKhaalif jab se aaina hua hai

Salim Shuja Ansari

Firozabad, Uttar pradesh, India

muḳhālif jab se ā.īna huā hai
mirā chehra hī kuchh badlā huā hai
use bhūle hue arsa huā hai
ye sach hai yā mujhe dhokā huā hai
koī khelā kisī ne toḌ Daalā
ye dil ke saath bhī kyā kyā huā hai
kināre lag gayā gustāḳh tinkā
samundar fikr meñ Duubā huā hai
simaTne kā bhī hai ab hosh kis ko
abhī raḳht-e-safar bikhrā huā hai
tumhāre faisle bhī tai-shuda the
hamārā jurm bhī sochā huā hai
mujhe raas aa ga.ī hai ajnabiyyat
har ik rishta mirā parkhā huā hai
nazar par dhuul kī parteñ jamī haiñ
tumhārā aks bhī dhuñdlā huā hai
chalo 'sālim' kahīñ gumrāh ho leñ
yahāñ har rāsta bhaTkā huā hai
Top Urdushayar.com