zabt kī had se guzar kar ḳhaar to honā hī thā
shiddat-e-ġham kā magar iz.hār to honā hī thā
aa.ine kab tak salāmat rahte shahr-e-sañg meñ
ek din patthar koī bedār to honā hī thā
ḳhaak meñ milnā hī thā ik din ġhurūr-e-zindagī
ret kī dīvār ko mismār to honā hī thā
kis tarah karte nazar-andāz apne aap ko
ik na ik din zindagī se pyaar to honā hī thā
koī āmāda na thā rāheñ badalne ke liye
rāsta millat kā phir dushvār to honā hī thā
jis taraf dekhā udhar apne hī the ḳhanjar-ba-kaf
phir mire īsār ko talvār to honā hī thā
ḳhvāhisheñ be-rabt thiiñ be-zauq thā dast-e-talab
aisī hājat kā sila inkār to honā hī thā
ek din kahnā hī thā ik dūsre ko alvidā.a
āḳhirash 'sālim' judā ik baar to honā hī thā