Salim Shuja Ansari

salim yaqin-e-azmat-e-sehr-e-KHuda na toD

Salim Shuja Ansari

Firozabad, Uttar pradesh, India

sālim yaqīn-e-azmat-e-sehr-e-ḳhudā na toḌ
māyūs ho ke kāsa-e-dast-e-duā na toḌ
shīrāza-e-hayāt bikhar jā.egā mirā
ai sañg-zād shīsha-e-ahd-e-vafā na toḌ
kuchh aur hone de rah-e-manzil ko tez-gām
ai ḳhizr tū abhī mirī zanjīr-e-pā na toḌ
teshe kī zarb sah nahīñ saktā har ik vajūd
aazar har ek paikar-e-sañg-e-anā na toḌ
chehre kī silvaToñ kā sabab aa.ina nahīñ
nāchārgī-e-umr-e-ruḳh-e-ā.ina na toḌ
is mutrib hayāt meñ zinda hai rāgnī
ruk mutriba abhī tū ye sāz-e-sadā na toḌ
bedār ho na jaa.eñ badan kī zarūrateñ
ai shauq-e-be-panāh fasīl-e-hayā na toḌ
'sālim'-shujā.a maut kī hai aarzū harām
ā.īna-e-hayāt ko yuuñ be-ḳhatā na toḌ
Top Urdushayar.com