tamām umr kī tanhā.iyoñ pe bhārī thī
vo ek shaam tire saath jo guzārī thī
ufuq pe likhtā rahā āftāb tahrīreñ
magar bayāz-e-zamīñ raushnī se aarī thī
safīr-e-sub.h kī aahaT pe ho ga.ī bedār
ġhunūdgī meñ jo ḳhvābīda shab-ḳhumārī thī
usī ne kar diyā paivast piiTh meñ ḳhanjar
vo shaḳhs jis kī rifāqat se piiTh bhārī thī
dil-o-dimāġh ne phir hāshiye tarāsh liye
ka.ī dinoñ se tabī.at meñ nā-gavārī thī
jo baat tark-e-ta.alluq ke moḌ tak pahuñchī
ḳhatā tumhārī nahīñ thī ḳhatā hamārī thī
javāb de diye 'sālim' hayāt ne mujh ko
magar savāliya ik ik javāb-dārī thī