kabhī milī hai jo fursat to ye hisāb kiyā
savāb kitne kiye kitnā irtikāb kiyā
hamesha apne amal kā ḳhud ehtisāb kiyā
ḳhud apne aap ko aise bhī be-naqāb kiyā
tamām umr bhaTakte rahe gumānoñ meñ
vo shai milī hī nahīñ jis kā intiḳhāb kiyā
darāz kar na sake phir bhī kāsa-e-ġhairat
tarah tarah se tabī.at ne be-hijāb kiyā
kabhī to zabt ne dariyā ko kar diyā sahrā
kabhī junūñ ne bhī sahrā ko aab aab kiyā
alag na ho sakā dil yād-e-raftagāñ se kabhī
tire ḳhayāl se har-chand ijtināb kiyā
ye zindagī hameñ kaise muaaf kar detī
vo vaqt vaqt thā ham ne jise ḳharāb kiyā
javāb de ga.iiñ saarī zihānateñ 'sālim'
kisī savāl ne tā-umr lā-javāb kiyā